Monday, 2 January 2017

Bas tera ehsaas..

Jo paas hai wo bas ehsaas hai tera..
Sab kuch hai aas paas mere,
fir bhi kuch nhi..
Bas ehsaas hai tera..

Main har pal baatein kar raha hu tumse..
Ya khud se..
Kyuki mere paas kuch nhi..
Bas ehsaas hai tera..

Aankho me intzar liye baitha hu..
Dil bar bar tumhe pukarta hai...
Bas itna kehta hai...
Tum paas nhi mere..
Bas ehsaas hai tera..

...kshitij bhi to bas ehsaas hi hai,
paa le har koi aisa mumkin kahan..

Dua..

Do hath jude jab..
ek tera or ek mera..
Tab jana hai matlab..
Dua ka maine..

Hath jab thama tumne..
Tab matlab jana hai..
Pyar ka maine..

Yu to intzar kiya h maine na jaane kitna..
Tumse mila tab matlab jana hai..
Besabri ka maine...

Shabdo ko to kai dafe sanjoya maine..
Aaj jaana hai matlab..
Jab bin kuch kahe,
samjhaya hai tumne..

Sar to pehle bhi jhukta tha ye dua me..
Ibadat kya h, tumse mila..
Tab ja kar jana hai maine...

Kshitij to bas naam tha..
Tum mile to arth kya hai..
Ye jana hai maine..

Ek baat kahu..

Ek baat kahu..
Kuch chehre sacche lagte hain,
Jaane kyu wo apne lagte hain...

Ek baat kahu...
Ek haath thaamna chahta hu,
Wo tera ho bas ye maangta hu..

Ek baat kahu...
Main khush khush sa ho jaata hu,
Teri aahtein bhi ab main pehchanta hu..

Ek baat kahu..
Kuch tum mere jaise lagte ho,
Jaane kyu apne lagte ho..

Ek baat kahu...
Kuch shabd adhure hote hain,
Jaane kyu fir bhi wo poore se lagte hain..

Ek baat kahu..
Main kshitij tak jana chahta hu,
Or safar me bas sath tumhara chahta hu...

Ek baat kahu... 😊