Monday, 31 December 2018

Zindgi bhar bhaga hoon,
Na jaane kya paane ko,
Par har mod par,
Jab bhi mutthi kholi use khali hi paya...

Mere hath ki rekhao ne har mod par
mera mazak udaya..
Aur bola itna bhaga kya paya?
Ye sun main chidha aur agle mod tak
is baar pehle se bhi tez bhaga..
Gira, utha, thaka, par haar naa maani..
Is baar bhout se armaan dil me liye mutthi kholi..
Jaante ho is baar maine kya paya??
Rakt!  apni dukhti chotil zindgi ki,
apni khushiyo ka, apne armaano ka..
Mere haath ki rekhaye fir hasne lagi,
Aur kaha humse aage aur koi nahi...

Sach hi hai chahto or ichaao par ankush nahi hota..

Isliye is baar rekhao ko pachadne ki koshish
poore tahe dil se ki..
Aur is baar pehle se jyada doguni raftaar se bhaga..

Is baar band mutthi hawa me utha kar kaha maine,
Main hu sikandar is maidaan ka..

Is baar is vishwas se ki maine duniya jeet li,
Maine mutthi kholi..
Meri aankhe khuli ki khuli reh gayi,
Mujhe is baar raakh mili..
Main rekhao se pucha, 'kya hai ye sab'..
Unhone thahaka lagaya or kaha, 'asthiyaa'.
Tere jeevan ki, khushi bhare palo ki,
Tere khawabo ki, teri ichaao ki,
mohabaat ki.............

Wo fir hasi or kaha, 'rekhao ka khel hai mukaddar rekhao se maat kha rahe ho'.

Aur is baar jo main gira, na to utha or naa bhaga, kyuki jaante ho!
Is dafe maine apni ek rekha kho di..

Wednesday, 26 December 2018

Kaise batau beete kaise din ye teri yaad me mere,
Har lamha dil me banai jo surat,
Sajaate rahe usko yaad me teri..

Kaise batau beete kaise din ye teri yaad me mere...

Har subha ghar se ban kar nikalna,
Tu mil jaaye raaho me kahin bas dua ye hi karna,
Dikho na tum to udas ho jana,
Ho jahan aas teri wahi chalte jaana..

Kaise batau beete kaise din ye teri yaad me mere..

Neende bhi tum ho baatein bhi tum ho,
Meri khamoshiyo ka jawab bhi tum ho..
Aankho me tere sapne sanjona,
Taro ko kaali raato me ginna..
Din ko fir se ban kar nikalna.....

Bas yahi hai ab meri kahani,
Teri yaado me beete palo ki kahani..
Ho sake to sun na isko kabhi meri jubani..
Mere dil bata ye kahu main ye kaise...
ki haan ho gaya hai mujhe pyar tumse...

Tumhari wo baatein tumhari wo kasme mujhe darr lagta hai un sabse...
Haale dil ye batau main kaise kahin ho naa jao door tum mujhse...

Mere dil bata ye kahu main ye kaise....

Paigaam kitne main likhta hu tumko..
Ye poocho kalam se naa poocho tum mujhse..
Har ghadi ab tumhe sochta hu...
Main taaro me tumko kahin khojta hu..
Main sapno ki duniya sanjota hu tumse mera aashiyaan poora hota hai tumse...

Par sapne to bas sapne hain hote..
Ye poore kabhi bhi to hote nahi hain...
Nhi keh main sakta hu main ye tumse ki haan ho gaya hai mujhe pyar tumse..........
Ek khawab sajta hai har roz in aankho me,
jaane ye zindgi kya hoti agar tu sath hoti..
Hasta hasata roz tujhe,
kabhi ruth jata to kabhi manata tujhe,
agar tu sath hoti...
Thandi raato ki chadar me lipte ghantoo baatein karte,
Jaane ye zindgi kya hoti,
agar tu sath hoti...

Roz ghar aane ki jaldi hoti,
Darwaaze pe lagi aankhe hoti main dekh tujhe lipat jata,
Maathe ko choom kar gale lagata,
Jaane kya ye zindgi hoti,
agar tu sath hoti...

Roz thoda tere liye main jeeta,
tu thoda mere liye jeeti,
Har pal me kuch pyar kuch takraar hoti,
Teri ek hasi ko dekh kar sab shikve shikayat bhool jata,
Jaane ye zindgi kya hoti...
Kshitij tk sath jaate,
Agar tu sath hoti.....
Miss you..
Acha lagta hai tumhe yaad karna,
Tumhari yaado se baat karna...

Waqt hai khair badal jaayega,
Log kehte hain aaj bura hai kal achaa aayega..
Zindgi ek kitaab hai,
Maine kaha haan..
waqt bhi badlega or kitaab ke panne bhi paltenge,
Bas kshitij fir pichle panno ke shabdo me kahin kho jaayega...

Ye to bas yaadein hain janab,
Waqt ki dhool sab kuch dhundhula kar deti hai,
Yahan rangeen tasveero ke rang tak udd jaate hain...
Jo kabhi seene pe rakh kar sar sukoon paate the,
Jo kehte the mujhe bhoolna mat kabhi,
Aaj wo mujhe apni bhool batate hain..

Khair ab kitaab poori hone ka waqt aa gaya hai,
Bas ek aarju hai ho sake to shabdo me mera zikr rakh lena,
Fir kisi panne pe milu naa milu,
Purane panne samet ke rakh lena...
Aaj tere dar par aa kar bhi mu mod kar khade rahe..
Ek sawal utha kahin se kyu kadam yhi rok diye?
Bas aankh band ki or socha...
Dil me sawaalo ka sailaab liye baitha hu,
ye chaukhat laanghi to andar baitha bhagwaan kaise nazar milaayega..

Andar baithi us murat ne itna toda hai,
K fir judne ki usne ab koi surat naa chodi..
In haatho ko jisne dua me uthna sikhaya,
Uski dua ki aabroo bhi naa chodi..

Jin gaaliyo or raasto pe zindgi ban kar behte the hum,
Unpe murjhaai yaadein or bejaan padi hasi dikhti hai ab....

Kaise bata ab ibadat me sar jhukau or dua me haath uthau,
naa ab dil ki wo murat bachi or naa ab kshitij ke fir judne ki koi surat bachi...