Monday, 3 June 2019

Words and words are all I have...


Kuch yaad baki hai abhi,
Mere shabdo me tera zikra baki hai abhi,
Wo shabd jo tujh tak pahuchenge nhi kabhi,
Unhe tere labo pe aane ka intzar baki hai abhi..

Abhi ek daur guzarna baki hai,
Khud se kare kuch wade hai,
Zindgi ko thoda or pareshan karna baki hai abhi..

Abhi baki hai har chote chote lamho ko yaado se bharna,
Kshitiz ka kshitiz se milna baki hai abhi..

Abhi intzar hai kuch raaho ko mera,
Mera un raaho se milna baki hai abhi...

Abhi lafz or bhi hai,
Jane kaun sa lafz tumhe chu le,
wo lafz talashna baki hai abhi...

Miss you my love..

 
Kuch to tha jab tum sath the mere,
Jaane din guzarte the kaise jab tum sath the mere...

Aaj bhi wahin hu main,
Ye din bhi wahin hain,
Ye mousam, thandi hawa or barsat bhi wahin hain or main bhi to hu wahi,
Jab tum sath the mere...

Badal gaye tum ya kismat ka mazak hai ye ke ab tum sath nhi ho mere,
Tera naam aaj bhi saja leta hu hath pe or soch leta hu ke tum sath ho mere....

Tere har lafz ko khud se dohrata hu ye soch kar ki tum sath ho mere..
Yakeen nhi aata ke aaj kshitij ko nihaarti ye aankhe or bas yaadein baki hain teri....
Or tum sath nhi ho mere....

Really miss u a lot....

Friday, 8 March 2019

Zindgi kuch rooth si gayi hai,
Jab se tu door si hui hai,
Kuch bacha nhi mera tere jaane ke baad,
Tu hi jaageer thi meri...

Zikr tab bhi tera hi hota tha,
Dekh zikr aaj bhi tera hi hota hai..
Shabd mere aaj bhi tujhe hi dhoond rhe hai,
Tu kshitij hai tujh tak jaane ko chal rhe hain..

Tu rutha hai dekh zindgi bhi roothi hai,
Aisa lagta hai tere hi liye ab ye saanse bhi ruki hain...
Dekh tu kehti thi na waqt hai badal jaayega,
Haan badal to gaya,
Par aisa badla ki ab waqt hi naa raha...

Jaanta hu doobta suraj hu main,
Dhal hi jaaunga...
Kab tak main bhi ye bojh utha paunga,
Bas ek aarju hai dil me bachi,
Safar ho aakhri or tujhe chu kar guzar jau..

Tu shabd mere sambhal ke rakh lena,
Gunguna lena wo geet kabhi kabhi jinko tere liye likha karta tha,
Kabhi mann kare to shabdo me hi sahi mujhe zinda to kar lena...

Saturday, 9 February 2019

Kahan kho gaye tum?
Kehte the naa kabhi sath nahi chodungi,
Tum hasoge to sath houngi,
Tum rouge to sath houngi,
Tumhari parchai hu,
baarish ho ya dhoop ho,
Raat taaro ki ho yaa soona aasmaan ho,
Safar mushkil ho ya aasaan ho,
Har kadam tumhare sath chalungi...
Parchai hu kabhi alag nahi houngi...

Kahan kho gaye tum?
Dekho naa aaj tanha bhi hu,
Kisi ka sath bhi nahi,
Tumhe pukar raha hai dil rota bhi nahi or hasta bhi nahi,
Raaste mushkil bhi hain or raate sooni bhi hain,
Kahan ho tum?

Thak gaya hu aaj rone ko dil karta hai,
Tere seene pe rakh ke sar duniya bhoolne ko mann karta hai,
Kahan ho tum?
Roz yaadein satati hain tumhari,
Dekho sab to chin sa gaya mujhse,
par yaadein teri aaj bhi jaageer hain meri,
Ek naam kshitij aaj bhi zinda hai zehan me,
Tum hi ko pukara karta hai,
Kya pata tha sach me itne door ho jaoge ki chahunga to bhi kareeb naa aaoge..

Kahan ho tum?
Ek baar laut aao main aaj bhi wahi hu,
Usi mod pe raah takta hu,
Tumhare ghar ki galiyon ko aaj bhi talaashta hu,
Ek naam kshitij wo chehra dhoondta hu..
Kahan ho tum???
Ek baar laut aao...

Wednesday, 9 January 2019

Kuch khwaab mere is kadar ab tu sajata hai,
Jidhar bhi dekhu,
Mujhe nazar har taraf kyu tu aata hai..

Neende to pehle bhi ghum thi meri aankho se,
Ab teri neendo se jaane kya ye mera vaasta hai..
Kismat ne bhi ek aise mod par tujhse milaya hai,
Jaise doobte sooraj se apne aashiyaane tak jaane ka kisi parinde ne waqt maanga hai..

Jaane in shabdo ko bhi mere kya hua hai,
Tere baare me soch kar thoda bheeg se jaate hain..
Maine fir aaj aasmaan se baatein ki hai,
Chehra tera Dil me le kar kuch duaaien ki hain..

Lad to nahi sakta main lakeero se meri,
Fir bhi guzaarish hai usse jise log khuda kehte hain,
Ki bas ab kshitij ka ye safar yhi tham jaaye,
Tu rakkhe seene par sar or tere sang ye umr guzar jaaye...


Tuesday, 1 January 2019

In darkness you may feel I am not with you but I will always be with you.. 
With closed eyes you just have to feel me..
You will never be alone..

I will be the light to remove darkness and I will be the shadow to walk beside you in light..
I will be the ray of hope in sorrows and I will be the smile on your face in happiness..

I will be the lyrics when you want to sing..
I will be the rhythm when you want to dance..
I will be the pillow when you want to sleep...
And I will be the wings when you want to fly to achieve your dreams...

When you will be tired I will be the bed to lean on and make you sleep...
You will never be alone...

Ek saksh mila mujhe,
Jaane kya talaash raha tha mujh me,
Meri pehchaan bhi naa poochi or padhta gaya mujhe...

Mere shabdo ko arth diya,
Sapno ko udaan or umr ko zindgi de di,
Bin pooche mera dard bhi jiya or meri khushi bhi,
Log umr guzaar dete hain kisi ko apna banane me,
Ek kacche dhaage se apna bana gaya wo mujhe....

Jaane kya talaash raha tha wo mujh me,
Mujhe taraash kar ab jaane kahan chuup gaya hai wo,
Jaanta hu dekh to raha hai mujhe kahin se,
parchai hai meri aisa kehta tha wo mujhe,
Kaise batau usko us parchai ke bina fir khota jaa raha hu main,
Par milne ka wada hai kshitij se,
Dariya me behta aaunga aakhri safar me tujhe chu kar guzar jaunga...
Jaane kyu milte tum kuch mujhse ho,
Ek pagal massom sa Dil or bhi hai,
Aankho se jhalkte sawal or bhi hai,
Barisho me bheegi ek parchai or bhi hai,
Dard to sabke hisse me hai par tera kuch mere jaisa hai...

Jaane kyu or kis liye milaya hai kismat ne tujhse,
Kya ye ek naye safar ki suruaat fir se hai,
Kadam se kadam milane koi sath fir se hai,
Kya aankho ko padh ke sab samahjne wala koi fir se hai...

Ek gurarish hai mat jhaanko in aankho me or is Dil me,
Kahin khud se mulakaat ho gayi to fir kshitij pighal jaayega...

Tere maathe ko choom saka ye khush kismati thi meri,
Mere hath ko thama tumne ye humdardi thi teri,
Kya du tujhe iske badle?
Agar bas me ho mere,  to dil kehta hai,
hath ki saari lakeere de du...

Par kyu jud raha hai tu is safar me kshitij ke,
Darr lagta hai ki kya zindgi ka ye mazak koi fir se hai.....