Saturday, 16 October 2021

Words and words are all I have... ❣️
















Kya likhu tujh pe tu to bas ek khwaab hai..

Jise sab se chupa ke sunta hu tu wo saaz hai..

Chupke se milte ho sapno me mere..

Subha uth ke dhoondta hu phir nishaan tere..

Bhool jata hu fir ek dafe,

ye kahani bhi adhoori reh gayi...


Tumhe Dil me chupa bhi leta..

Par in aankho se tum roz chalak aate ho...

Raato se dushmani si hai ab meri..

Din bhi aawargi me guzar jata hai..

Milta hu tumse aksar har lamhe me main..

Waqt ki qaid me ab bhi yaadein hai teri..

Bhool jata hu fir ek dafe,

ye kahani bhi adhoori reh gayi...


Tu hi safar hai or manzil bhi tu hai...

Kshitiz bhi tu or humsafar bhi tu hai..

Adhoori reh jaati hain kuch kahaniyaan...

To Kya hua iska matlab ye to nahi ki unme pyar nahi........ ❣️

Education in Covid period..

 











Sikshak bina na gyan hai,
Sikshak bina na maan hai...

Wo siksha jisne badla bachpan,
Wo siksha jisne badla jeevan,
Wo siksha jisne rashtra nirman ko janme doctor va engineer,
aur diye desh ko veer jawan hain jisne,
Badal gaya uska swaroop...
Dekho corona me badal gaya uska swaroop...

Guru-shishya ke jahan bhav the judte,
Nanhe kadam the jahan khushi se badhte,
Chalk, board aur duster kabhi jahan the fatakte,
Kabhi sir ke lecture, kabhi daant aur kabhi pyar jahan the baraste,
Khali pade wo vidyalaya dekho,
Badal gaya unka swaroop..
Dekho corona me badal gaya unka swaroop...

Kaid ho gaya guru-shishya ka bhav cameron aur electronic upkarno me,
Black board, chalk aur duster se siksha zoom, google aur microsoft pe aayi,
Kaid ho gaye bacche gharo me,
Bhale kaid ho gaye sikshak saare,
Par ruk na paya siksha ka bhav wo mool,
Bhale badal gaya siksha ka swaroop..
Dekho corona me badal gaya siksha ka swaroop.....

Jan ruke jeevan ruka,
Badal gaya prakriti ka swaroop,
Chehre pe mask guru aur shishya dono ke aaye,
Dekho jara corona kaal me shishya guru ka aashirwad lene ko bhi katraaye..
Kshitij tak jaane ki jo chaah or raah dikhati,
Bhala wo siksha kaise ruk jaati??
Isliye badal liya siksha ne apna swaroop..
Dekho corona me siksha ne bhi badal liya apna swaroop....

Words and words are all I have.. ❣️














Rah-e-ulfat me teri,

Kat jaayega ye safar bhi tanha yun hi ek roz,

Ki har safar ka koi maanjhi ho, 

Ye jaroori to nahi..


Kabhi mulaqat ho gayi thi tumse is rehguzar me,

Par har musafir rehguzar me hum-sohbat ho jaye, 

Ye jaroori to nahi..


Main bhi to jaane kyu umeed lagaye baitha hu us raah pe teri,

Jo raah teri rehguzar bhi nahi..


Fir bhi guzar jayega ye safar Kshitij tak yu hi,

Ke har rehguzar me koi hum-sohbat ho, 

Jaroori to nahi...

Jaroori to nahi...