Monday, 27 April 2020



Main saahil ki tarha aksar toot jaya karta hu,
Main khawaab hu, seher se aksar rooth jaya karta hu...
Pal bhar hi sahi par dil ko sukoon deta hai,
Afsaana-e-dard likh leta hu par kisi ko dard nahi deta.....

Khamosh hu agar to ye naa samajh lena ki naraz hu,
Har kisi se dil ka haal bayaan nahi hota...
Theek nahi hu main ye kehne ke liye koi khaas chahiye hota hai,
Warna koi pooche jo haal "acha hu" kehna padta hai...

Kaanha tumne bhi kya ye rog de diya,
mil ke laga tha ki daastaan poori ho gayi,
wo bichad kar or bhi lambi kahani kar gaya...

Virasat me nahi milti yaha ameeri Dil ki,
khaali jeb or fakiri me sapno ko bikte dekha hai....
Ishq or majboori ki jung me, majboori humesha jeet jaati hai,
Or aksar peeche ek adhoora safar kshitij ka,
Or bhout si ankahi kahaniyan chod jaati hain....

Friday, 28 February 2020

Socha to naa tha kabhi aise bhi honge hum,
Chand taaro ko dekhenge or muskuraayenge hum,
chand ki chaandni or taaron ki jagmag liye soone aakash me dhoondenge kisi ko,
Socha to naa tha kabhi aise bhi honge hum....

Duniya ki har khushi se badhkar,
khud se jyada aur chahat se badhkar chahenge kisi ko hum..
Muhobbat kisi ko apni banayenge hum,
Socha to naa tha kabhi aise bhi honge hum...

Kabhi kisi se raahon me milne ki aas hogi,
Kisi ke deedar ki pyas in aankho me aam hogi,
Kabhi kisi ke zikr par khamosh zubaan hogi,
Aawaz ki duniya me khamoshi humari pehchan hogi,
Socha to naa tha kabhi aise bhi honge hum...

Kabhi kisi ki judaai ke aansu honge in aankhon me,
Kabhi kisi ki yaadein le aayengi kalam in haaton me,
Kabhi inti shiddat se sochenge kisi ko,
Is kadar tanhai me likhenge paigam kisi ko,
Kshitij bhi ban jaayega shayar aam,
Socha to naa tha, kabhi aise bhi honge hum...
Socha to naa tha....
Sameit lo in zulfo ko chehre se apne,
Kahin chand bhi apne ahem me
baadlo se nikalna naa bhool jaaye....

Naa dabao apne hotho ko yu daanto tale,
Kahin gulaab bhi oos ki boond ka bojh liye murjha naa jaaye....

Suno; bikhero naa adaayein apni aankho se yu,
Kahin jharna bhi apni hi gehraai me gir kar kahin kho naa jaaye....

Dhalne naa dena is aanchal ko chehre par apne,
Kahin suraj bhi dhoop chaaon ka ye khel bhool naa jaaye....

Zara bachkar; bhout masoom ho tum,
Is masoomiyat par kisi or ko fida hone naa dena,
Kahin kshitij se chura kar tumhe le naa jaaye koi....

Thursday, 27 February 2020



Kuch yu chala tha silsila jaddojahat ka,
Bante bigadte rishton Ko sametne ka..
Duaayein bhi ki thi roj zindagi sath bitaane ki,
Kya pata tha kisi roz wo zindgi ke is safar ko hi duao ke sahare chod jaayega...

Pal do pal ki narazgi, wo ladai jhagde aur the,
Par tamam umr mujhse door reh ke tum ji naa paoge,
Jaanta hu majboor to tum bhi the,
Rishton ki bediyo aur mere pyar ke beech roye bhi bhout the..

Wo aakhri pal bhi yaad hai mujhe jab tum saamne baithe the,
Lafz khamosh the aankhe bol rahi thi bas,
Chup tum bhi the chup main bhi tha,
Khamoshi ka aalam tod ke alvida kehna majboori thi zubaan ki,
Par tumhara dil baar baar keh raha tha baahon me bhar lo apne ke tumhe chod ke jaane ko mera dil nahi kar raha..

Jaanta hu kadam bojh se ho gaye the tumhare,
Toot si gayi thi tum andar se poori,
Beti itni majboor kyu hai ye soch ke khud se hi rooth si gayi thi tum...

Jaate jaate nishaniyo me umr bhar ki yaadein le gayi,
Apne hisse ka chand or dil ka aadha tukda mujhe de gayi,
aur bhoolna mat mujhe kabhi mujhse ye wada le gayi bas...
Kaise smjhata tumhe apni saanse bech kar paya hai tumhe,
meri jaan basti hai tum me tumhe bhala kaise bhool paunga main...

Dil ye toot ke roya or aankhe behne lagi,
Aakhri baar uska hath mere hath me tha wo chootne laga main tootne laga..

Aakhri baar maine usse kaha tum jaa to rhi ho par apna khayal rakhna,
main nahi rahunga kehne ko to tum bina khana khaye hi so jaogi,
apne khane peene ka khud se khayal rakhna,
apne kisi kaam me koi aalas naa karna...

Jaanta hu chidchidi ho jaogi tum jab mujhe paas naa paogi tum,
Par itna khayal rakhna ki maa ki baato pe palat ke jawab naa dena tum...

Door jaa rhe hai par iska matlab ye nahi ki bhool jaunga tumhe,
jab bhi meri yaad aaye ek dost ki tarah milne jaroor aaunga main...

Bhari aankho se alvida liya usne,
Uske jaate hi maine poocha kyu mere rab ab to khush hai naa tu,
Mujhe tanha bana diya or uska sab kuch mita diya,
Pyar karne ka tune asli chehra dikha diya....

Apne sapno ka ghar jala ke humne auro ko roshni de di,
Aur kho diya andhero me wo safar kshitij ka jispe hath pakad kar sath chalne ki kasme khai thi kabhi....

Thursday, 6 February 2020

Mujhe bhoolna mat kabhi, 
Le kar ye wada mujhse wo khud apne aap ko bhool gaya.....

Ajeeb hai naa rishta ye apna,
Kehne ko to koi naam nahi,
fir bhi kabhi aankhe bhigo jaati hain or kabhi labo pe muskaan de jaati hain yaadein tumhari...

Ek adhoora rishta or ek adhoori kahani ban ke reh gaye hum,
Par khush hu afsos nahi is baat ka ki kahin mujhe adhoora to chod kar nahi gye tum..

Dekh raha hu tasveeron me simti yaadon ko,
Kaise waqt ye badal gaya,
Dekh raha hu,
Zindgi ke rango ko feeka padte hue,
Bas ek aas baki hai kshitij ko paane ki,
or fir aankho ko moond lu main god me uski..

Aaj kal muskura ke milta hu sabse,
Dabaana seekh gaya hu jazbaat apne,
Dheere se palke jhapka ke, 
muskura ke taal deta hu sawal saare..
Bas ek sawal jo nahi taal saka,
Aakhir kon majboor tha jyada tum ya main?
Aakhir kon toota jyada tum ya main?
Jo kho gya wo kon hai? pyar humara ya kshitij??

Main nahi kehta ki tum laut aao,
nahi kehta ki tum mujhe yaad bhi karo,
duaayein hain ki khush raho tum aangan me apne,
bas jab kabhi pairo tale thandi ret ho or lehro ka sath ho,
chupke se likh jana un par ungliyon se apni,
!kahani adhoori thi bas, 
par pyar nahi....!!