Le kar ye wada mujhse wo khud apne aap ko bhool gaya.....
Ajeeb hai naa rishta ye apna,
Kehne ko to koi naam nahi,
fir bhi kabhi aankhe bhigo jaati hain or kabhi labo pe muskaan de jaati hain yaadein tumhari...
Ek adhoora rishta or ek adhoori kahani ban ke reh gaye hum,
Par khush hu afsos nahi is baat ka ki kahin mujhe adhoora to chod kar nahi gye tum..
Dekh raha hu tasveeron me simti yaadon ko,
Kaise waqt ye badal gaya,
Dekh raha hu,
Zindgi ke rango ko feeka padte hue,
Bas ek aas baki hai kshitij ko paane ki,
or fir aankho ko moond lu main god me uski..
Aaj kal muskura ke milta hu sabse,
Dabaana seekh gaya hu jazbaat apne,
Dheere se palke jhapka ke,
muskura ke taal deta hu sawal saare..
Bas ek sawal jo nahi taal saka,
Aakhir kon majboor tha jyada tum ya main?
Aakhir kon toota jyada tum ya main?
Jo kho gya wo kon hai? pyar humara ya kshitij??
Main nahi kehta ki tum laut aao,
nahi kehta ki tum mujhe yaad bhi karo,
duaayein hain ki khush raho tum aangan me apne,
bas jab kabhi pairo tale thandi ret ho or lehro ka sath ho,
chupke se likh jana un par ungliyon se apni,
!kahani adhoori thi bas,
par pyar nahi....!!
No comments:
Post a Comment