Thursday, 25 May 2023


















Fir ek baar yakeen pe yakeen karna hai, 
Mila jo pyar use bhoolna hai, 
Nahi koi syahi aisi jo hath pe pyar ki lakeer bana de, 
Is baat pe ab aitbaar karna hai..

Fir ek baar yakeen pe yakeen karna hai, 
Chupa kar rakhunga dil me kahin,

Jata kar khud ko sharmshar nahi karna hai,
Haddein banani padegi isliye khud se nata todna hai, 
Par kaise batau tumhe, 
tumse door hone ke liye khud ki saanso se nata todna hai..

Par sach hai ab is yakeen pe yakeen karna hai,
Ki Kshitij to bas ek safar hai, 
Tai to manjile hoti hain safar wahin reh jata hai..

Fir ek baar yakeen pe yakeen karna hai...
Khud se khud ko juda karna hai..... 
Khud se khud ko juda karna hai.....

















Yakeen nahi hota kitna badal gaye hum, 
Jo kiye the waade unse kaise mukar gaye hum,
Kabhi bechain hoti thi nigaahe, 
Aaj bebas si hai. 
Kiska kasoor tha ye pata nhi,
Par zakhm gehra de gaya wo har ek pal, 
Ek sath nibhana ho gaya itna mehnga,
Ki khud se juda ho gaye hum, 
Mera kuch raha nhi khud me baki,
Mera sab kuch to le gaye tum... 

Mujhe yu naa lagi thi kami kisi ki pehle kabhi,
Kuch akela is kadar kar gaye tum. 
Safar Kshitij ka akele hi tai karna tha,
To kyu saathi ban ke aaye tum, 
Or sath aaye bhi the to kyu mera safar bhi
le gaye tum..

Kyu itna badal gaye hum,
Nahi socha kabhi kuch pana hai, 
Kasam tumhari bas sacche mann se itna hi
chaha hai,
Ki reh jau tumhare aas paas main kahin,
Bhale raakh ho jaaye ab khawaishein sari
meri..

Yakeen nahi hota kitna badal gaye hum! 
Jo kiye the waade unse kaise mukar gaye tum??

Words and words are all I have...❣️

 











Ye shaamein roz tumhara intezar karti hain, 
Tum yaad karte ho mujhe, 
Ye yaadein tumhara aitbaar karti hain..


Ek dor hai dono ke beech,

Ek sira tum or ek main,


Thodi uljhi si thodi suljhi si, 

Ye dor mujhe har takleef tumhari bayaan karti hai, 
Ye shaamein roz tumhara intezar karti hain..


Majboori ki baarish me jo beh gaya, 

bhale wo ghar kagaz ka tha,


Par zehan se mit ta hi nahi ek bhi pal wo,
Jinme jaane kitne hi safar humne tai kar daale the, 
Ye aasmaan bhi thak gaya hai apne daaman se gira kar taare, 
Kab tak bhala ye bhi mere intzaar pe aitbaar karta, 
Aa jao ab to.... 
Ye shaamein roz tumhara intezar karti hain...


Kshitij ko nihaarti meri ye aankhe,
bojhil si ho chali hai,
bas ek hi sawal karti hain, 
Kash beh jaate ban kar dariya to, 
To ye shaamein roz tumhara intezar to naa karti... 
Tumhara intezar to naa karti.....

Dil me mere ab pyar nahin..











Wo kehte hain dil me mere ab pyar nahi Main patthar hu insaan nahi.. 
Naa jazbaat bache naa ehsaas bacha ab,
Kisi ko khone or naa paane ka darr bacha ab.. 
Wo kehte hain dil me mere ab pyar nahi....

Umeed hai mujhe,
Ek saksh hai jo jaanta hai, 
main jeena bhool jaunga, 
par pyar nahi...
Bas pyar waala wo ek chehra nhi dikhta ab,
Mujhe wo aankhe or wo natkhat baate nhi dikhti ab.... 

Pyar mera mujh me hi kahin safed chadar odhe so gaya Use jagane wala wo sakhs na jaane kahan kho gaya.... 
Or wo kehte hain dil me mere ab pyar nahi.. 

Kaise kahu pyar hai haan pyar hai,
Par wo sakhs nhi jisse mujhe pyar hai...

Tod diya maine mera sab, 
Mere apne hatho se, 
Pyar me khud luta or luta diye khwab ek bekasoor ke...

Wo mere dil ka aadha hissa,
Wo chand ka tukda, 
Wo kathi ka ghoda, 
Wo ek ghar uske ghar ke saamne, 
Wo neend se jaagna uski aawaz se Sab kuch chin gaya...

Main kaise kahu haan ab pyar nhi 
mujhe kisi se pyar nahi....

Tum kaho agar haan dil me mere pyar nahi,
To haan sach hai ye ab dil me mere pyar nahi.... 
Sach hai ye.... 
ab dil me mere pyar nahi.....

Ek adhoora toota sapna..













Toote gharaunde, bikhre khawaab, 

Ek aadha adhoora toota sapna,

Kisi kone me chupa ke rakha hai maine ab bhi, 

Ek afsana apne pyar ka...


Kuch tasveere hain, puraani jaroor hain 

or kuch dhool bhi jama hai un pe, 

par rang aaj bhi bayaan karte hain sadaqat ishq ki...


Wo Ek kaathi ka ghoda,

Ek aadha tukda dil ka, 

Ek tasveer hatheli pe saje chand ki,

Wo Ek boond tere aansu ki jo labo se main pi gya,

Kya bhoologi tum or kya main,

Sab mitti ka tha or wo mujh me kahin mil gaya...


Ek safar kshitij ka or kuch khushiya choti choti,

Sab kuch bikhere baitha hu ek band kamre me,

Par jaane kyu kuch bhi ghum hota nahi...