Toote gharaunde, bikhre khawaab,
Ek aadha adhoora toota sapna,
Kisi kone me chupa ke rakha hai maine ab bhi,
Ek afsana apne pyar ka...
Kuch tasveere hain, puraani jaroor hain
or kuch dhool bhi jama hai un pe,
par rang aaj bhi bayaan karte hain sadaqat ishq ki...
Wo Ek kaathi ka ghoda,
Ek aadha tukda dil ka,
Ek tasveer hatheli pe saje chand ki,
Wo Ek boond tere aansu ki jo labo se main pi gya,
Kya bhoologi tum or kya main,
Sab mitti ka tha or wo mujh me kahin mil gaya...
Ek safar kshitij ka or kuch khushiya choti choti,
Sab kuch bikhere baitha hu ek band kamre me,
Par jaane kyu kuch bhi ghum hota nahi...
No comments:
Post a Comment